~Toffee~

Toffee / chewing gum.

aik bari hi ajib say aadat apna li hay. pehlay yeh batata hun keh yeh aadat apnai kaesay.. Dad ko blood pressure ki problem hay to may ny soch liya keh unka blood pressure control karna hay par you know. DOCTOR bhi apnay ghar may apni begam k agay kuch nahi kar sakta hahaha .. aisa hi kuch hal mera bhi hay. Apnay ghar may kisi ki nahi chalti chahy duniya bhar may kitnay hi log apni baat mantay hon ya baat par ghoor o fikar karty hon.


leh ..  :p aadat kya thi woh to batana hi bhol gaya .. aadat yeh pari keh .. mujhay jo bhi kahin bhi chahy jis marzi age ka ho.. nazar ajay ghussay may to may apni jaib say usko toffee ya chewing gum offer karta hon hahaha .. heeran kun baat yeh hay keh .. unka ghussa 1 mint may khatam hojata hay .. may ny dekha keh unkay chehray par laali ajati hay. in simple words they get all red as they feel shy.  aksar logo ny agay say yeh muskura kar yeh kaha keh .. ARAAY NAHI NAHI .. AP KHAIN .. phir meray israr karny par woh kha letay aur may 2 mint unkay pas khara hojata hun aur woh mujhay batany lagty hain keh woh kyun oouncha ooouncha aur ghussa kar rahay thy .. may agay say yahi kehta hon keh .. ARAY YAAR AP ACHAY KHASAY AQALMAND HO .. INKO KYA PATA. AP INKO PYAR SAY SAMJHAYA KARO SHAYAD SAMJH JAIN . phir may ALLAH HAFIZ keh kar wahan say nikal ata hon . 

dekhnay may... may koyi chota bacha to nahi lagta chahay dil say kitna hi chota kyun na hon :). .. 
magar phir bhi log aitabar karky kha letay hain meri di hoyi cheez . . may aksar aisay hi cheez hi unko offer karta hon jo achay say wrap hoyi ho . nice and tidy and most of the time a branded commodity. 

jo koyi bhi mera yeh page phar rahay hain .. unsay bs yahi kahun ga keh .. hamaray gharon may .. aas paas dosto may .. ghaam aur ghussa bharta ja raha hay .. hamara koyi bhi chota sa amal unko ehsas dila sakta hay keh jo kaam pyar say ho sakta hay woh ghussay say woh mat karain .. to ap sab ab apni marzi ka koyi bhi easy lagny wala kaam ... karain aur .. gham aur ghussa khatam karain apnay aas paas say .. 

khush rahain aur .. nichay comment may zarur bataiy ga keh apko konsi toffee ya chewing gum pasand hay takay may agli bar apko milon to dy sakon :p .. 

cheers :) .. 

2 comments:

  1. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  2. fanta or flip!!! fresh up bhe chalay gi!! :P

    ReplyDelete